Search This Blog

Thursday, December 20, 2018

Microsoft account kaise banaye outlook/hotmail account

microsoft account kaise banaye?aur yah kyo jaruri h?microsoft account banate samye aap extension ke roop me kise select kare,outlook ya hotmail account?aaj hum isy topic par disucss karnege,
ki microsift account kaise banate h?aaj hum ek microsoft account banaynge,toh  chahliye dosto fir bina time waste kiye aaj ka topic start karte h,microsfot account kaise banaye wo bhi hindi me.
microsoft account kaise banaye outlookhotmail account

Microsoft account banane ke liye kya-kya chahiye

microsoft account banane ke liye,aapko jada kisi bhi chij ki jarurat nahi h,bus aapko chahiye,aapki personal information,aur aapki mobile number.agar aapke pass pahle se kisi ka bhi email id h like gmail,yahoo ka toh aap yaha par uska us kar sakte h.

Microsoft account kaise banaye in hindi me step by step

step -1 sabse pahle microsoft ke site par jaaiye.
step -2 create one par click kijiye.
create one par click kare
step -3 aapke saamne ek form open hoga,use fillup kar le.
apni puri information sahi sahi bhare
  1. aap apna name enter kare,aap dekhenge ki yaha 2 textbox h,first textbox aapke first name ke liye h,aur second textbox aapke suirname ke liye h.example mera first name Hemant h,aur last name Rajput h, toh m first textbox me Hemant fill karunga then second textbox me Rajput.
  2. aap apna username select kare(username ek unique address hota h,jo kisi particular person ke liye ek hi hota h aap ise deatil me bhi padh sakta h,yaha click kare) username aisa ho,jo yaad rakhne me aasani ho,aur aapke naam ko match karti ho.aap apna yaha gmail id bhi daal sakte h,agar aapko new email address chahiye toh get new email address par click kare.
  3. aap apna password fill kare,yah tab kaam aata h,jab aap microsoft par dubara login karenge.ek baar enter karne ke baad niche textbox me same password fir se daale.
  4. aap apna country select kar le,mai india ka hu,toh maine yaha par india select ki h,aap jaha ke rahne wale h,wo country select kar le.
  5. apna birthday date fillup kar le,pahle month ko bhar le,then day uske baad year.
  6. aap apna gender select kar le.
  7. yaha par aapke phone number se related information mangi ja rahi h,toh sabse pahle apna country code select kare,then niche wale text box me apna mobile number enter kar dijiye.
  8. niche diye gaye box me captcha ko fill kar le.agar aapko ko captcha samajh me nahi ah rahi h,toh aap new me click karke new captcha generate kar sakte h.ya fir audio se select karke sun ke apna captcha fill kar sakte h.
  9. ab aapko yaha par checkbox dikhai degi,jisme by default check mark laga hota h,jiska matlab h,ki kya aap microsoft ke promotional offer apne mail box me chahte h.agar aap chahte h,ki microsoft apne promotional offer aapke email me send kare,toh aap yah checkbox select hi rahne de,agar aap nahi chahte,toh ise uncheck kar sakte h.
  10. create account par click kare.aaka microsoft ka account create ho chuka h.
tip :- jab mai microsoft account bana raha tha,toh mere pass kisi tarah ki koi confirmation nai aayi mobile par,aur sidha hi account create ho gaya,ho sakta h maine 9 option me check nahi kiya tha is karan.lekin ho sakta h,aapke mobile par aapko 10 option ke baad verification karne ko kaha jaaye.
step -3 ab aapka profile page open hoga,jisme welcome aur aapka naam likha hoga.agar aapko sidhe inbox me jana h ,toh aap view inbox par click kar dijiye.
view inbox par click kare
step – 4 ab aapko ek pop box milegi,jaha par aapko language aur time zone set karna h.aur aap apna man pasand theme bhi select kar sakte h,jaise hi ye sabhi popbox khatam ho jaate h,then aapke saamne aapko inbox open dikhai deta h.
apna language aur timezone select kare
ab aapka microsoft email account bankar taiyaar h,aap apne jarurat ke anusaar email send kar sakte h.

Login or sing in microsoft account

  • sabse pahle login.live par jaaiye.
  • apna email id daale,then next ke button par click kare.
apna email id fill karke next button par click kare
  • apna password daale then sign in button par click kare.
apna password enter kare

Logout or signout in microsift account

  • aapke email box ke right side me aapko aapki profile picture dikhai degi,use click kare.
signout par click kare
  • signout par click kar de.
  • aap successfully singout ho jaate h.

Benefit of microsoft account

microsoft account ke bahut saare faide h,aaiye hum ise ek-ek karke dekh lete h.
  • microsoft apps ko easily manage kar paana,microsoft account ke through
  • windows product manage karne ke liye.jo sirf microsoft account se hi possible h.
  • one drive access karne ke liye.yaha par bhi kewal microsoft account ki hi jarurat padhti h.
  • aap apna address box easily banakar manage kar sakte h,aur sync karke kahi se bhi access kar sakte h.
  • window store ke kisi product ko purchase karne ke liye
  • bing webmaster tool me aap apne microsoft account ke throgh judh sakte h.

Conclusion

microsoft account banana bahut easy h,sath hi sath yah apne aap me bahut secure h.aur iske bahut se faide bhi h.humne aaj sabhi topic ko cover kiya.ek baar apna microsoft account banae ke baad aap ise use kariye,bahut se log aise hote h,jo sirf email id bana toh lete h,lekin iske use nahi karte
,aap kuch bhi form bhare,aap apna email dena na bhule,kyoki email bahut fast and secure h,aap tak data ya kisi bhi information pahuchane ke liye
thanks for read post 🙂

to aapko yah post “microsoft account kaise banaye outlook/hotmail account” kaisy lagi . hame comment ke madhyam se batana na bhule . sath hi sath kuch suggestion ya fir question h toh aap hame comment ke madhyam se puch sakte h. ye post aap apne dosto,faimly ke sath share karna na bhule.

No comments:

Post a Comment

Hii Friend Me O.H. Ki madad se un logo ki mdad krna chahta hu jin logo ko online kam krne me preshani aati a. So meri site pr aapke kam ki hr chij shayd milegi.........