Search This Blog

Thursday, December 20, 2018

Net Banking Se Online Paise Kaise Transfer Kare SBI Bank Mai

Net Banking Se Online Paise Kaise Transfer Kare SBI Bank Mai

Net banking se Paise Transfer Kaise karte hai, Online money kaise send Karte hai ,
'SBI Bank Se Paise Transfer Kaise Kare' 

Hallo Friends Aaj Mai apko batane ja raha ki kaise online paise transfer karte hai sbi to sbi bank mai ya sbi ki kisi bhi sakha mai internet banking ke jariye or ye post mai un dosto ke liye likh raha hu jinko bank mai jaker lambhi line mai lagna padta hai or unka time bhi kharab hota or ek din mere friends ne mujhse pucha ki yaar aisa koi tarika hai jisko paise transfer karne hai to hum unke account mai online paise dal sakey to mai us din se lag gya ki kaise online paise transfer kare ek bank se dusre bank mai or mai aisa karne mai kamyab bhi raha or maine ye post likh dali un dosto ke liye jinko ek bank mai se paise nikalkar dusre bank mai dalne padte they to chaliye dosto jante hai ki kaise online paise transfer karte hai. online paise transfer karne ke liye apke pass netbanking ki service honi chahiye agar nahi hai to ap isko bank mai jaker activate karwa le ye service bilkul free mai uplabhd hogi apko or mai ye bata du ki mai state bank of patiyala ke bank se paise transfer karuga sbi ke account mai online apko samjhane ke liye ( Note :- State Bank KI Sabhi Sakha Ka NetBanking Ka Same Patran hai )

[ Note : - Ye Post State bank ki Sakha ke user ke liye hai app ismai sbi ke sakha ke bank mai He balance transfer Kar sacte hai. jaise - SBI , SBP , jaise banko mai . Agar Aap pnb,corporation bank,uko bank , jaise outside bank mai is post ke jariye balancr transfer karna nahi sikh sacte hai . ye Post Only WhitIn SBP Account Of Other Bank Ke Liye Hai

Step1.

Sabse pahle app net banking ko open kijiye. Or Ab Hamey Sabse Pahle Intra-Bank Beneficiary Ko Add Karna Hoga
Intra-Bank Beneficiary Ko Kaise Add Kare Account Mai 

netbanking ke home page par apko payment transfer ka option milega Phir WithIn SBP Ke Ander usko click kijiye phir apko account of other par click kijiye

Payment/Traansfer >> Other Account

Step 2. 

Click Here To Add A New Intra-Bank Beneficiary ka apko option milega uspar click kijiye

Step 3.

or Ab apko Apna Profile Password ko enter karna hai or usko submit karna hai

Step 4.

No1 Name - mai apko wo name dalna hai jiske account mai apko paise transfer karne hai
No.2 Account Number ismai apko us bande ka account number dalna hai jiske account mai paise transfer karne hai

No3 Conform Account Number ismai wohi account number dale jo apne No.2 mai dala hai
No.4 Transfer Limit ( INR ) ab apko ek limit set karni hai ap us bande ko kitne paise transfer karna chahte ho or us se uper nahi karna chahte jaise for example maine ismai 100000 ek lakh ki limit dali hai to mai usko 25000 se uper ki rakam nahi send kar sacta to apko samaj aa gya hoga

or Ab isko submit kar dijiye

Step.5

Ab apko Do 2 Option milege or usmai apse pucha jaiga ki no1 mai kya app is Beneficiary Ko Bank ke Jariye Approve Karna Hai
Or NO,2 Mai apse Pucha Jaiga Ki App Is Beneficiary Ko Mobile Ke Sms OTP ke Jariye Approve Karna Chahte Hai to Wahan Par Click Kare
Mari mane to ap isko mobile ke jariye verify karwaye apko no.2 ka option ko choose karna hai
Or Ab Apke Phone Par Ek Sbi ke Or se Apke mobile phone par One Time Password Ayega apko wo password dalna hai or submit kar dena hai .

Ab apke samne ek page open hoga jismai likha hoga is account ko 4 day ke process ke Baad isko apke account mai Add kiya jaiga or usko submit karte hua Apko ab Approve Par click karna hai

Step 6. 

Ab Mera account mai Intra-Bank Beneficiary add ho gaya haiOr wo ab bank account se fully approve ho gaya hai. To Ab mai apko batau ga ki kaise netbanking ke jariye dusre bank mai payment online transfer kare

Ye Padhe :-

Net Banking Se Kaise Kare Online Pay Apne Friends Ke Account Mai

Ab hame phir se strating mai jana hoga
sabse pahle apni account ki net banking ko open kijiye
payment transfer Ko open kijiye wahan par apko other account ka option milega phir usko bhi click kijiye

  1. Apna Saving Account ko select Kijiye
  2. ab app us Beneficiary party ka Account select kijiye jisay apko payment Karni hai
  3. Pay Now Par Click Kijiye
  4. Isko Submit kar dijiye


Payment transfer >> Other account

Step 7.

Ab app wo sari jankari ek baar check kar le jiske account mai app balance transfer kar rahe hai
Ab App Isko Confirm Kar de

Step 8.

Ab apki payment successful Done Ho Gayi Hai Agar App Chahe To Uska Print Out Nikal Sacte Hai Print out par click karke

[ Note : - Ye Post State bank ki Sakha ke user ke liye hai app ismai sbi ke sakha ke bank mai He balance transfer Kar sacte hai. jaise - SBI , SBP , jaise banko mai . Agar Aap pnb,corporation bank,uko bank , jaise outside bank mai is post ke jariye balancr transfer karna nahi sikh sacte hai . ye Post Only WhitIn SBI Other Bank Ke Liye Hai

Dosto Ye post bahut he Careful Traike Se Banai Gai Hai Agar Apko Is Post Se Related kuch bhi Ask hai App aap mujhse Puch sacte hai mujay apki help karne mai khusi hogi

Ye Padhe :- Mobile Banking Kaise Activate Kare Online

Taged Line

Online Account Bank Mai Kaise Apply Kare, Sbp login,sbi login, sbp ki jankari, sbi ki jankari, Net Banking ki Jankari, it is safe to Give out Bank Account Number,How To open sbp net banking , net banking kya hai , money transfer kaise karte hai, bank ki jankari, how to transfer online money within sbp , how to create net banking account within sbp bank, account ka balance transfer karne ki jankari , hindi mai netbanking , bank ki jankari hindi mai net banking ki hindimehelp, sbp ki net banking mai kaise login , retail online sbp login , onlinesbp.com , personal banking login sbp, sbp login saral. 

No comments:

Post a Comment

Hii Friend Me O.H. Ki madad se un logo ki mdad krna chahta hu jin logo ko online kam krne me preshani aati a. So meri site pr aapke kam ki hr chij shayd milegi.........